Hello Gyanians, Aaj hum seekhenge ki Facebook Page Kaise Banate Hai doston agar aap koi aisa work karte hai jiski jankari aapko har roj facebook par upload karni padti hai to doston ye post bilkul aapke liye hai.
Doston Aaj kal aap jaha bhi dekhe aap ko aasani se dekh jayega ki Aap humare Facebook page ko like kare. Aaj kal to TV par bhi Facebook Page like karne ko kaha jane laga hai. Is liye dosto aaj hum log janege ki Facebook Page kaise banate hai.
Facebook Page Kya Hai
Doston Facebook Page ek Public Profile hai. agar aap koi brand, business ya celebrity hain to aap apne business ko facebook pe promote kar sakte hain. Facebook page aap ki company ya business ka official social media page hota hai. doston facebook page ki help se aap apne business se related post, events ko share kar sakte hain.
Doston ham facbook page ki help se apne business ya brand ki digital marketing ya advertisement kar sakte hai. jis tarah se bade bade celebrities apna facbook page banakar apne fans ke sath sampark me rahte hai or unke har updates unke fans ko milte rahte hai usi parkar ham bhi apne business ka facebook page banakar apne customer ke attach me rahte hai.
Doston facebook page banane ke liye ek facebook account ki jaroorat hoti hoti hai. agar aapka facebook account nahi bana hua hai to aap hamare diye hue link (facebook account kaise banaye) par jakar apna facebook account bna sakte hai otherwise aap hamari Facebook Page Kaise Banate Hai is post ko continue padte rahiye.
Facebook Page Kaise Banate Hai – Facbook Page Kya hai?
Doston facebook kaise banate hai yah seekhna koi badi bat nahi hai aapko apne business ke liye facebook page banane ke liye hamare diye hue steps ko follow karte rahiy…..
Step1:- Sabse pahle aap apne facebook account ko login kar len. Aap neeche image me dekh sakte ho.
Step2:- (1)Ab aapko is option par click karna hai.
(2) Ab aapko create page wale option par click karna hai.
Step3:- Doston ab aapko gate start par click karna hai.
Step4:- (1)Ab aapko jis naam se facebook page create karna hai wo naam type karna hai jaise mene gyaniblog likh rakha hai.
(2) Ab aapko apne work ki category select karni hai jaise mene website select kar rakhi hai.
(3) Ab aapko continue par click karna hai.
Step5:- Agar aap apne facebook page par profile picture lagani hai to aap upload a profile picture par click karni hai otherwise skip karna hai.
Step6:- Agar aap apne facebook page par cover photo lagani hai to aap upload a cover photo par click karni hai otherwise skip karna hai.
Step7:- Doston ab aapka facebook page create ho gya hoga ab ise aap apne doston ke sath facbook par share kar sakte hai or apne facebook page par apne friends ko bhi invite kar sakte hai.
To doston is tarah se ab aap bhi seekh gye hai ki Facebook Page Kaise Banate Hai or ab aap bhi apne business ya brand ka facebok page bana sakte hai or apne brand ka advertisement kar sakte hai.
Hello Gyanians, main aasha karta hu ki aapko ye Facebook Page Kaise Banate Hai – Facbook Page Kya hai? post pasand aayi hogi. Agr aapko is post se related koi saval ya sughav dena hai to neeche comment karen or is post ko apne doston ke sath jaroor share karen taki apke dost bhi yah seekh paye ki Facebook Page Kaise Banate Hai – Facbook Page Kya hai?
Related Post
- Read: Facebook Account Delete Kaise Karte Hai?
- Read:Facebook Par Two Step Verification Kaise Activate Kare.
- Read: Satte Ka Number Nikalne Ka Tareeka In Hindi – Matka Ganit
- Read Kaise Fake WhatsApp Chat Banaye Prank Karne Ke Liye
- Read: Facebook Ki Video Download Kaise Karte hai?